Ek jaga likha dekha "Gustakh e Rusool ki Saza Sar Tann se Juda." Idea behtreen hai lekin jab Rangeelay ne iss ki practicalities pe ghaur kya tou kuch sawalaat ne janam lya.
Jaise, ghusal denay, dafnanay aur kaffan waghaira pehnanay mein mushkilaat paish tou nahi ayengi. Maslan, aap ne body ko ghusal de dya lekin sar reh gya. Phir dafnanay mein body tou dafna di par agr sar bhool gya tou? Aur aap tou jantay hain ke phir se Qabar khhodna kitna ghair Islami hai.
Kuch cheezo mein yaqeenan sahulat hojayegi. Jaisa ke aap ne dekha hoga ke kayee mayyato ke dauran jaise hee chand naujawan mayyat uthhaatay hain tou ghar ke Baresh buzurg cheekhtay hain "Sar Kaabay ki taraf, Sar Kaabay ki taraf" (chahay Murda kisi dehriay ka hee kyun na ho). Iss cheekh aur lalkaar pe koi 20-25 naujawaan circle mein aise ghoomtay hain, ke Kaabay ki taraf sar na kya tou Abba marhoom ki maghfirat qubool na hogi. Iss josh mein har dafa aisa lagta hai ke do chaar bachay tou pis jayenge. Riqqat se roti bilakti khawateen bhi iss lamhay k waqt thora sa pause de detiin hain aur phir kaabay ki taraf setting hotay hee re-start. Sar tann se juda mein iss tamaam ahtemaam se jaan chhoot jayegi. Sirf Sar ko uthaya aur kaabay ki taraf kardya.
Time saving. Efficient process. Mussannif, ye mashwara deta hai ke foran iss process ko Six Sigma Process quality management se certify karaya jaaye. Taakay Islam aur West ke darmyaan ye barhta hua faasla kam hosakay.