Follow Yaqub on Twitter

Tuesday, 30 April 2013

Ooper Allah Neechay Balla


Ooper Allah Neechay Balla

Ye PTI ka intikhaabi naara hai. Pakistan ki minorities ke liye iss mein thoray se rad o badal ki zaroorat hai. Agr ‘Neechay’ ki jaga ‘Peechay’ kardya jaaye tou zyada munaasib rahega. Humko minorities ko haqeeqat pasandaana mustaqbil dikhana chahiye. Khan sb ne waise bhi kaha hai ke wo sach bolenge.

Altaf Bhai ne Paan, gutka aur cigarette pe pabandi lagatay huey ailaan kya hai ke koi candidate inn teeno mein se kisi cheez ka istemaal na karta ho. Iss tarah taqreeban poori MQM ineligible hogai hai. Jo London, Durban, Sydney waghaira jaa ke inn cheezo se chhutkara paa chukay thhe, unko Supreme court ne waise hee dual national honay pe ban kardya hai. Altaf bhai se guzarish hai ke chhaalia pe bhi pabandi lagayein kyunke Middle Classia tou RedBull pe Rasily khha ke bhi tunn hojata hai. Rangeelay ka personal experience hai.

Baray Jernail Papa Kiyani ne kaha hai ke “Pakistan se Islam ko koi nahi nikal sakta.” Papa durust kehte hain. Islam ko tou koi nahi nikaal sakta. Haan albatta hum khud “Ahmedi Kafir” aur “Kaafir Kaafir Shia Kaafir” ki wall chalking karke, kayee logo ko Islam se bilkul nikaal sakte hain. Aur ek dafa wo Islam se nikal gaye tou unko Pakistan se bhi ba aasaani nikaala jaa sakta hai.

Papa ke iss kaam mein, 1970 ki tarah, Jamat e Islami aur Lashkar e Jhangvi jaisi jamaatein bakhoobi saath nibaah sakti hain (Bashart e ke baray dada abbu, Saudia Arbi ka taawun jaari rahay). PML N ne bhi Sipah e Sahaba ko ticket de ke iss naik kaam mein haath batanay ki khwahish zahir ki hai. More the merrier. Bazahir (Bharat ke khilaf cricket match ke ilawa), iss ek nuqtay pe qaum muttahid nazar aati hai.

Sirf ek party hai, jiski Election campaign pooray zor o shor se jaari hai. Baghair kisi rok tok ke. Ji Haan. TTP. (Dr Abdul Qadeer wali nahi). Unke polling agents apna kaam bakhoobi nibha rahay hain. Wo apni iss election campaign mein, iss hud tak, kaamyaab hogaye hain ke, bullet proof glass ke peechay taqreer karna, jisko hamaray palang tor patriots ek buzdilana qadam samajhte thhe. Ab ek daanishmandaada iqdaam samajhne lagay hain. Shukrya Khan sb, aap ne bulletproof glass ka rutba buland kya.

TTP ki iss kaamyaab campaigning ke baad, ANP ke log bhi, jauq dar jauq, TTP mein shaamil horahay hain. Iska process kuch aisa hai: “TTP candidate comes. Suicide Blast. ANP Candidate. Leaves ANP” Seedha simple 4 step process. ANP ghaur kar rahi hai ke ab Alam e barzakh ke candidates ko bhi tickets jaari karay.

PPP ke baray mein likhna fuzool hai. Ye dunya ki wahid jamaat hai jiski campaign, qabr se uske Shaheed leaders, directly chalatay hain. Choonkay Islam ko Pakistan se koi nahi nikaal sakta aur Islam mein hai ke Murdo ka ehteraam karna chahiye, iss liye hum iss muamlay ko yehiin chhor detay hain.

Kya pata kab hum pe ghalatphemy, i mean blasphemy lag jaye.

Rangeela Signing off for Today

Sunday, 28 April 2013

Muta'asib Kaun?

Update: This blog was written before the Azizabad blasts but nothing has changed since then. In fact, after Azizabad, looking at twitter feeds and facebook statuses of Terrorist apologists, this blog is just further established.

Rangeela just recently intercepted a letter from a friend to another. It goes like:

"Janab e Aali, Assalam o Alaikum. Aap mujh se kehte thhe ke mein muta'asib hoon. Karachi mein hamesha uss jamaat ko vote daalta hoon jo meray firqay, meray ilaaqay ki hai. Kayee dafa tou daalta bhi nahi aur vote khud hee dal jata hai. Mein aapka yaqeen karta. Sochta shayd aap sahi hain. Kya meri parvarish theek nahi, jo mein itna mutaasib hoon? Shayd hum mahajiro mein bohot taassub bhara hai. Mein ye sawal hamesha karta ke Muta'asib kaun hai aur kyun?

Kayee din guzray, mahinay saal huey. Phir aap ke haan ek dhamaka hua, Daata darbar Lahore mein. Mein bara udaas hua. Taliban ko gaalian diin. Phir attack hua Srilankan team pe. Iss dafa bhi mein bara udaas hua. Taliban ko gaaliaan diin. Agr che ke aap ne bharti sazish ko zimmay daar tehraya lekin hamara ikhtilaaf iss pe kabhi na raha ke ye hamlay mazloomo pe huey. Mera sawaal wahiin ka wahiin raha ke itna Muta'asib kaun hai aur kyun?

Aur kayee saal guzray aur April 2013 aya. Meray ilaaqo mein bhi bomb dhamakay huey. Kuch logo ne kaha ke elections se bhagnay ki sazish hai. Jis jamaat ko mein vote daalta thha, uss ne kaha ke hum bhaagengay nahi. Taliban ne dhamako ki zimmaydaari qubool ki. Mein aapko batana chaahta thha ke jo aapke saath Daata darbaar mein hua, ab hamaray saath bhi hua hai. Dekhein ke mein sahi thha, ye Taliban hee hain. Mein aapko phone karnay hee wala thha ke aapka facebook status parha:

 "These guys deserved it. It has served them right. Happy that now we don't have to put up with their songs"

Aur mujhay mera jawab mil gya.

Faqat aapka dost
Muta'asib

Friday, 19 April 2013

What? No Negotiations?

Abhi abhi ye khabar ayi hai ke Boston bombers maaray aur pakray jaa chukay hain. Rangeela ye soch ke pareshan hogya. Hairaan reh gya! Ye kya?? Dunya ki sab se transparent democracy aur ye insaaf? (we need a tehrik for insaf in Amrika - Hint). The tehrik will collect funds and will use them to give the bombers a chance to negotiate and fair trial. We should give peace a chance.

Amrika, ek aisa mulk, jiske adaalti nizaam aur insaaf ki misaalein log detay hain. Aur hamaray haan ke liberal fashisht tareef kartay nahi thhaktay, iss mulk ka muwaazna, hamare jaise pak watan ke islami, sharai aur azaad adaalti nizaam se karein tou ye sooraj ko chiragh dikhanay jaisa hoga. (i still get goose bumps that how the terrorists can be shot, without being given a chance to negotiate. This is so called American democracy?).

Hamaray haan aadalat, aise hee kisi masoom ko jail mein nahi daal deti. Jaisa aap ne Afia ke saath kya Chief Justice John Sahab*, sunn lein. Hamare haan fair trial milta hai. Killer ko suna jaata hai balkay iss hud tak insaaf hai ke Killer ki hee suni jaati hai. Ye dekhein.


Na sirf judges balkay hamaray lawyers bhi iss qadr insaf pasand hain ke be-gunaah ka trial nahi dekh saktay. Agar koi rangay haatho qatl karta pakra bhi jaaye aur Agr wo Islam ki raah mein ho, tou kya bhala wo qatl kehlayega? Jawab dein Justice Stephen*? Aur seekhein iss se kuch.

Insaf ka iss qadar bol baala hai (khaas taur pe adlia azaad honay ke baad) ke terrorist khud keh rahay hotay hain ke hum suicide bombing karenge lekin hum kehtay hain "Chal paglay! naadaan! nat khhat! tujhe kya maaloom. Tu abhi masoom hai". Jab tak hum mohabbat nahi dikhayenge tab tak ye log kaise sudhrengay? Akhir ye hamaray apnay hain. Hain ke nahi? Agr koi faasiq o ghaasib inke khilaaf action le le tou poori qaum yak musht ho ke, ek muttahid qaum ban ke khari hojati hai zulm ke khilaaf.

In the end, I would like to advise our US brothers that Boston must get out of the war on terror like Pakistan. After all there is no imminent danger of any terrorist doing anything wrong.

http://youtu.be/K5mx6MkPn7w?t=2m57s


Your Sincere Friend and Sympathiser
Rangeela
*Justice John aur Justice Stephen, Amriki Supreme court ke judges hain

Saturday, 13 April 2013

Suqoot e Dhaka (Fall of Dhaka) ke Asbaab - Different Perspective

Iss baat pe behes kayee saalo se jaari hai ke Mashriqi Pakistan hum se alag kyun hua. Yahya Khan ke sharaab peenay ki waja se? Bhutto ki khud gharzi, Mujeeb ki Ghaddari ya phir Yahood o Hunood o Nasara ki Sazishein? Tamaam palang tor patriots iss baat pe muttafiq hain ke inn chaaro factors ka combination thha (Iss baat ka khyaal rahay ke fauj ke muamlay mein aap Yahya Khan ke SHARABI honay ko single out karein. Fauj se zyada SHARAB pe zor ho. Pooray institute ko moorad e ilzam na tehrayein warna 62/63 lag jayega)

Kuch dino pehlay ek nya aur intehaai authentic reason Rangeela ki nazro se guzra. Jis pe aaj tak hum palang tor patriots ka dhyaan na gya thha. Aur uski bunyaad, ek meethay aur palang tor bhai ki jaanib se, facebook pe share ki gayee, ye tasveer thhi.


Iss ko ghaur se dekhein. Kya ye baat saabit nahi hoti ke Pakistan ka naam, hamaray pyaray Prophet (SAW) ke naam pe rakha gya thha? Kya ye moajza, Khuda ke kisi aur moajzay se kam hai? Isi liye intehai zaroori hai ke hum Kashmir haasil karke rahein kyunke wo Mohammad (SAW) ke "Meem" ko mukammal karta hai. (Iss pe guftugu baad mein hogi ke wo kaise karengay, filhaal Suqoot e Dhaka pe baat kartay hain).

Ab dekhein Bangladesh (Former East Pakistan) ka naqsha. Rangeelay ne jab ghaur kya tou YE KYA?? KUFR!!!! Aur aapko yaqeenan ye jaan ke hairaani hogi ke Bengali shru hee se Hinduo ke zyada qareeb thhe (Rangeelay ne iski ek aur misaal apne ek aur blog post mein bhi di hai). Ab aap hee batayein, iss kafirana nishaan ko humaray pak watan se alag kardena hee sahi thha ke nahi?
Ye OM ka nishan hai jo Hinduo ka ek sign hota ha
(Thats how Islamic revelation pages describe pictures)

Bas phir kya thha, Sharabi Yahya Khan, Khud gharz Bhutto, Ghaddar Mujeeb aur Yahood o Hunood o Nasara sab milgaye. Lekin ALLAH ke raaz tou wohi jaanta hai. Inn sab ki saazishein tou apni jaga thhiiin lekin ye nahi jantay thhe ke wo faida hum Musalmaan Pakistanio ka hee kar rahe hain. Kufr alag hua aur Pak Pak Pakistan nikhar ke samnay aagya.

Balkay ye kahein tou ghalat na hoga ke asal Pakistan tou bana hee 1971 mein aur jab se ab tak qayam o dayam hai. Iss liye agr hum ye kehte hain ke Pakistan azal se abd tak qayam rahega. Isko na koi tor saka hai aur na tor sakay ga. Tou kya ghalat kehte hain?

Pakistan Paindabaad.