Film dekhtay huey humein ye khyaal aya ke aisi hee film hum ko Pakistan pe bhi banani chahiye. Bil-akhir "palangtor patriotic" filmo ka daur phir chal nikla hai (e.g. Waar). Bas hum ne socha ke ab script likhna hee paray ga. Waar ki tarah thora anti-Indian element daalengay aur film hit. Isi koshish mein hum ne Pakistan Navy ki taareekh mein kiye gaye azeem kaarnaamo ko khangaalna shuru kya. Humein thori mushkil paish ayi. Hum ne thora aur dhoonda. Operation Trident, Operation Python waghaira. Jawab nadarud. Koi faida nahi. Har jaga pashemani. Ab humein fikar lahaq honay lagi. Hum pe hubbul-watni ka pressure barhnay laga. (Aisay pressure ki aala misaalein Ahmed Qureshi aur Mubasher Lucman hain)
Humko aisa lagnay laga ke audience hamari film dekh rahi hai aur hum se jawab maang rahi hai ke dikhaao koi kaarnaama iss film mein.
Aisa nahi thha ke Pakistan Navy ki kaamyaabyaan nahi thhiiin. Thiin. Bohot thhiin. Lekin jang ke maidaan mein na thhiiin. Business aur entrepreneurship ki dunya mein tou aisi aisi be-misaal kaamyabian thhiin ke Sam Walton aur Steve Jobs ush ush kar uthhein.
Lekin film ki main theme tou ek jangi operation pe mabni thi. Hum ne socha kis tarah Bahria Complex 1, Bahria Complex 2 aur 3 ko jang ke pas-manzar mein paish karein? Kabhi NORE 1 aur 2 ke ooper ek drama bananay ka khyaal aya. Inn titles ka faida ye thha ke inkay sequels 1,2,3 bhi automatically tayyar thhe. Yaani ye Harry Potter series ki tarz pe ek kaamyaab tareen paishkash hosakti thhi. Lekin masla wohi, jangi kamyabi kahan ghussayein iss mein :(.
Phir ek english title ka khyaal aya "Arena", Navy ka ek aur kaamyaab commercial mansooba. Ye ek acha filmi title thha. Hum Arena pohnchay, jo ke Karsaz pe waqay hai. Ye dekhne ke wahan se kin kin shaheedo ki kahaniaan nikaal saktay hain. Pehle tou kuch bachay humko Bowling kartay milay. Pins ko aisay tika tika ke gira rahay thhay jaisay Bharti faujio ko naist o nabood kar rahay hon. Seena fakhar se chaura hogya. Phir ek uncle jinki apni waist kuch 42 hogi, ek treadmill pe bhaagtay dikhai diye. Hum ne socha ke ye jang ki tayari kar rahay hain. Humko ye idea itna pasand nahi aya ke gym mein tayyari kartay har shakhs ko bahar se ba-asaani dekha jaa sakta hai. Sheesha transparent thha. Bhei ye mulk ki security ka maamla hai. Kya humko ye dikhana chahiye ke humaray jawan ki kamar 42 inch hai?
Jawan Ready for Operation Chikkar Chholay
Thora aur agay barhay tou nannhay maasoom bachay 'rock climbing' ki training kar rahay thhe. 6-7 saal ke maasoom. Unn mein kuch uncle numa log bhi rock climbing ki koshish mein lagay huey thhe lekin unn nanhay maymaaro ki kaawish dekh ke aankh mein aansoo bhar aye :'( - Hum ne faisla karlya ke hum Arena pe hee film banayenge. Hum unkay daftar pohnchay aur apna maqsad byaan kya. Bari khushi se ek retired captain sahab ne humko welcome kya aur farmaya Membership fee Rs.25000 only. "Hain?? Bhei ye tou hamari poori film ka budget hai." Hum ne kaha. Unho ne apnay ek saathi ko aankho hee aankho mein ishara kya aur unho ne humein bahar ka rasta dikhaya. Jatay huey keh gaye "Rangoli se khana khatay jaiye ga. Per Head 1400"
Phir hamari nazar se guzray merchant navy ke bahadur insaan Captain Wasi! Captain Wasi ko bhi Somali pirates, mera matlab hai hamaray Mussalmaan Somali bhaio, ne Captain Phillips ki tarah pakar lya thha. (Ye sawal hum filhaal gol karjatay hain ke Ummah ki yekjehti aisay lamhaat mein kahan chali jaati hai) Dhoondnay pe pata chala ke Pakistan Navy ne unki koi madad nahi ki, lekin phir mazeed tehqeeq se saabit hua ke asal madad hee Pakistan ki armed forces ne ki.
Ab shuru hoti hai hamari Kahani. Script mulahiza ho:
MV Suez ko Somali pirates ne aghwa karlya hai. Usko bachanay ke liye Ansar Burney aur Dr Ishrat ul Ibad, jo ke dono DHA (Note: Armed forces contribution No.1) mein rehtay hain, din aur raat koshisho mein masroof hojatay hain. Wo sab se pehle Pakistan Navy ke Chief Admiral Noman Bashir se ruju kartay hain. Noman Bashir, like a true patriotic Pakistani, categorically denies that this ever happened but when he gets told that the world has proof, he retracts his statement. (Note: Armed forces contribution No. 2). Phir ghussay se kehtay hain:
Ishrat ul Ibad aur Ansar Burney ghar ghar chanda maangnay jaatay hain. Waqt kam hai aur muqabla sakht $2.1 Million jama karnay hain. Kahiin se koi masbat jawab nahi araha hota. Phir bil akhir, sab se zyada donation ka ailaan kartay hain Bahria Town ke mojid (Note: Armed forces contribution No. 3) Malik Riaz. Malik sahab se milnay ke baad hum aa hee rahay thhe ke unho ne ek guzarish kardi.
Uskay baad NORE, DHA, Bahria Town mein rehnay walay aur Bahria Complex 1,2 aur 3 mein kaam karnay walay aur Bahria University ke talib ilm sab se zyada contribute kartay hain (Note: Armed forces contribution No. 4,5,6,7,8...........100) 10 mahinay ki sakht jidd o jahad ke baad bil aakhir captain Wasi ghar laut atay hain. Fleet commander Abbas terms ‘Operation Umeed-e-Nau’ a complete success.Yes! Paying $2.1 million ransom and rescuing our people is regarded as success. Bhei hamara success hai, hamari definition hai. Hum jaisay chahay define karein. Tum jealous kyun horahay ho. (Note: Armed forces contribution No. 101).
Uskay baad iss pooray "kaamyaab Naval operation" ko sunehro huroof mein Pakistan bahri afwaaj ki taareekh mein hamesha hamesha k liye likh dya jaata hai. Aakhri scene mein Captain Wasi Allah ka shukar ada kartay dikhai detay hain.
[mandatory scene of Ibadah]
THE END
P.S. Qoobay ki guzarish hai ke agr aap kisi ko ISPR mein jantay hain tou iss script ko bhi filmi shakal denay ki sifarish karein. Bari meherbaani hogi. Warna ye bata dein ke Somalia immigration ke liye kitnay points chahiye hotay hain?