Follow Yaqub on Twitter

Thursday, 4 September 2014

Tabdeeli or your Guilt?


Aaj kal Facebook pe Khan saab ki support mein bohot se log likh rahay hain. Nazariyaati log kam reh gaye hain aur shakhsiyat ke pujari zyada. Mein unki neeyat pe shak nahi karta lekin mein kaisay maan loon ke unn ki neeyat mein tabdeeli agai hai? Mujhay lagta hai, zyada tar log apni guilt mita rahay hain Imran Khan ko support karke. Kal Imran Khan aa bhi jayega tou inhein koi aur bahana mil jayega tax churanay ka. Cheating karnay ka. Aur aisay system ko kya chalna hai jo ek shakhsiyat ki existence pe based ho?

Mein yaqeen karloonga ke sahi tabdeeli agai hai jis din hamari elite class apnay walidain, azeez o aqarib, mohallay ke uncles, jernail chaachaas, aur 18 grade ke bureaucrat maamas se bhi yehi sawal karnay ke qabil hojayegi: "Aap ne itni daulat kaise banai? Hum paanch behen bhaio ko Amrika London IBA LUMS CBM executive education programs mein parhnay kaise bheja itni si salary mein? Kaise ye 1000 gaz ka ghar banaya Defense mein? Kitna tax dya pichhlay 20 saal mein?"

Jis din hum Pervez Khattak se bhi wohi sawal karengay jo hum Nawaz Shareef se kartay hain ke Aap ke dono bachay London mein kaise parhtay hain govt salary pe? Aur aap itna kam tax detay hain. Jis din anti-corruption hamara principle stand hoga. Cult based nahi. Ke Imran Khan ne keh dya tou sirf Nawaz Shareef se sawal karo.

Jis din democracy hamara yaqeen hoga. Agr meray mukhalif ko bhi vote paray tou bismillah. Naa ke ye ke agr mein haar jaoon tou democracy nahi khilafat chahiye. Wo tou mein democracy ki himayat sirf iss liye kar raha thha kyunke Khan sb ne kaha thha.

Jis din hum insaani jaan ko utni hee ahmeeyat dengay jitni deni chahiye. Jis din human rights hamara nazariya hoga. TTP jab MQM ya ANP ke logo ko maaregi tou hum ta'asub aur siyasi mukhalfat ki bunyad pe usko "drama" nahi kahengay aur na hee taaveelaat (excuses) paish karengay. Hum unke liye bhi awaz uthayenge.

Jis din hum aurto ke huqooq ki baat karengay. Malala ko lagnay wali goli pe jashn nahi manayenge aur dikhanay ko hamdardi nahi jatayenge sirf iss liye kyunke Khan sb Malala ke saath hain.

Acha baat sunein. Ooper kahi gai tamaam baatein mazaq thhiin. Please ignore all above. Asl mein mujhay kehna thha: Jis din roti sasti hogi aur mehngi hogi jaan. Ek din ayega aisa hoga Pakistan. Mein tou dekhoonga (kyunke ye gaana aaj kal 'in' hai)