Follow Yaqub on Twitter

Tuesday, 30 April 2013

Ooper Allah Neechay Balla


Ooper Allah Neechay Balla

Ye PTI ka intikhaabi naara hai. Pakistan ki minorities ke liye iss mein thoray se rad o badal ki zaroorat hai. Agr ‘Neechay’ ki jaga ‘Peechay’ kardya jaaye tou zyada munaasib rahega. Humko minorities ko haqeeqat pasandaana mustaqbil dikhana chahiye. Khan sb ne waise bhi kaha hai ke wo sach bolenge.

Altaf Bhai ne Paan, gutka aur cigarette pe pabandi lagatay huey ailaan kya hai ke koi candidate inn teeno mein se kisi cheez ka istemaal na karta ho. Iss tarah taqreeban poori MQM ineligible hogai hai. Jo London, Durban, Sydney waghaira jaa ke inn cheezo se chhutkara paa chukay thhe, unko Supreme court ne waise hee dual national honay pe ban kardya hai. Altaf bhai se guzarish hai ke chhaalia pe bhi pabandi lagayein kyunke Middle Classia tou RedBull pe Rasily khha ke bhi tunn hojata hai. Rangeelay ka personal experience hai.

Baray Jernail Papa Kiyani ne kaha hai ke “Pakistan se Islam ko koi nahi nikal sakta.” Papa durust kehte hain. Islam ko tou koi nahi nikaal sakta. Haan albatta hum khud “Ahmedi Kafir” aur “Kaafir Kaafir Shia Kaafir” ki wall chalking karke, kayee logo ko Islam se bilkul nikaal sakte hain. Aur ek dafa wo Islam se nikal gaye tou unko Pakistan se bhi ba aasaani nikaala jaa sakta hai.

Papa ke iss kaam mein, 1970 ki tarah, Jamat e Islami aur Lashkar e Jhangvi jaisi jamaatein bakhoobi saath nibaah sakti hain (Bashart e ke baray dada abbu, Saudia Arbi ka taawun jaari rahay). PML N ne bhi Sipah e Sahaba ko ticket de ke iss naik kaam mein haath batanay ki khwahish zahir ki hai. More the merrier. Bazahir (Bharat ke khilaf cricket match ke ilawa), iss ek nuqtay pe qaum muttahid nazar aati hai.

Sirf ek party hai, jiski Election campaign pooray zor o shor se jaari hai. Baghair kisi rok tok ke. Ji Haan. TTP. (Dr Abdul Qadeer wali nahi). Unke polling agents apna kaam bakhoobi nibha rahay hain. Wo apni iss election campaign mein, iss hud tak, kaamyaab hogaye hain ke, bullet proof glass ke peechay taqreer karna, jisko hamaray palang tor patriots ek buzdilana qadam samajhte thhe. Ab ek daanishmandaada iqdaam samajhne lagay hain. Shukrya Khan sb, aap ne bulletproof glass ka rutba buland kya.

TTP ki iss kaamyaab campaigning ke baad, ANP ke log bhi, jauq dar jauq, TTP mein shaamil horahay hain. Iska process kuch aisa hai: “TTP candidate comes. Suicide Blast. ANP Candidate. Leaves ANP” Seedha simple 4 step process. ANP ghaur kar rahi hai ke ab Alam e barzakh ke candidates ko bhi tickets jaari karay.

PPP ke baray mein likhna fuzool hai. Ye dunya ki wahid jamaat hai jiski campaign, qabr se uske Shaheed leaders, directly chalatay hain. Choonkay Islam ko Pakistan se koi nahi nikaal sakta aur Islam mein hai ke Murdo ka ehteraam karna chahiye, iss liye hum iss muamlay ko yehiin chhor detay hain.

Kya pata kab hum pe ghalatphemy, i mean blasphemy lag jaye.

Rangeela Signing off for Today

2 comments:

  1. Very well written. I don't really see anything in it that pakvotes.com think objectionable.

    Ahsan Zawar

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks Ahsan. I seriously thought that I have toned down a bit. Guess what? still didnt meet the freedom of speech mark set in the Islamic Republic. :)

      Delete