Follow Yaqub on Twitter

Saturday, 13 April 2013

Suqoot e Dhaka (Fall of Dhaka) ke Asbaab - Different Perspective

Iss baat pe behes kayee saalo se jaari hai ke Mashriqi Pakistan hum se alag kyun hua. Yahya Khan ke sharaab peenay ki waja se? Bhutto ki khud gharzi, Mujeeb ki Ghaddari ya phir Yahood o Hunood o Nasara ki Sazishein? Tamaam palang tor patriots iss baat pe muttafiq hain ke inn chaaro factors ka combination thha (Iss baat ka khyaal rahay ke fauj ke muamlay mein aap Yahya Khan ke SHARABI honay ko single out karein. Fauj se zyada SHARAB pe zor ho. Pooray institute ko moorad e ilzam na tehrayein warna 62/63 lag jayega)

Kuch dino pehlay ek nya aur intehaai authentic reason Rangeela ki nazro se guzra. Jis pe aaj tak hum palang tor patriots ka dhyaan na gya thha. Aur uski bunyaad, ek meethay aur palang tor bhai ki jaanib se, facebook pe share ki gayee, ye tasveer thhi.


Iss ko ghaur se dekhein. Kya ye baat saabit nahi hoti ke Pakistan ka naam, hamaray pyaray Prophet (SAW) ke naam pe rakha gya thha? Kya ye moajza, Khuda ke kisi aur moajzay se kam hai? Isi liye intehai zaroori hai ke hum Kashmir haasil karke rahein kyunke wo Mohammad (SAW) ke "Meem" ko mukammal karta hai. (Iss pe guftugu baad mein hogi ke wo kaise karengay, filhaal Suqoot e Dhaka pe baat kartay hain).

Ab dekhein Bangladesh (Former East Pakistan) ka naqsha. Rangeelay ne jab ghaur kya tou YE KYA?? KUFR!!!! Aur aapko yaqeenan ye jaan ke hairaani hogi ke Bengali shru hee se Hinduo ke zyada qareeb thhe (Rangeelay ne iski ek aur misaal apne ek aur blog post mein bhi di hai). Ab aap hee batayein, iss kafirana nishaan ko humaray pak watan se alag kardena hee sahi thha ke nahi?
Ye OM ka nishan hai jo Hinduo ka ek sign hota ha
(Thats how Islamic revelation pages describe pictures)

Bas phir kya thha, Sharabi Yahya Khan, Khud gharz Bhutto, Ghaddar Mujeeb aur Yahood o Hunood o Nasara sab milgaye. Lekin ALLAH ke raaz tou wohi jaanta hai. Inn sab ki saazishein tou apni jaga thhiiin lekin ye nahi jantay thhe ke wo faida hum Musalmaan Pakistanio ka hee kar rahe hain. Kufr alag hua aur Pak Pak Pakistan nikhar ke samnay aagya.

Balkay ye kahein tou ghalat na hoga ke asal Pakistan tou bana hee 1971 mein aur jab se ab tak qayam o dayam hai. Iss liye agr hum ye kehte hain ke Pakistan azal se abd tak qayam rahega. Isko na koi tor saka hai aur na tor sakay ga. Tou kya ghalat kehte hain?

Pakistan Paindabaad.



No comments:

Post a Comment